Tu kisi aur ki jagir hai ai jan e Gazal
Log tufan utha denge mere sath na chal
Pahle haq tha teri chahat ke chaman par mera
Pahle haq tha teri Khushboo e badan par mera
Ab mera pyar tere pyar ka haqdar nahi
Main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi
Ab kisi aur ke shanon pe hai tera anchal
Main tere pyar se ghar apna basaoon kaise
Main teri mang sitaron se sajaoon kaise
Meri qismat mai nahi pyar ki Khushboo shayad
Mere hathon ki lakiron mai nahi tu shayad
Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal
Mujh se kahti hain ye Khamosh nigahain teri
Meri paravaz se unchi hain panahain teri
Aur Gairat e ehsas pe sharminda hoon
Ab kisi aur ki bahon mai hain bahain teri ....

Comments