Be sabab hi safar mei rehta hooN
MaiN kahaN apne ghar mei rehta hooN
Meri takmeel hi naheeN karta
jiske dast`e hunar mei rehta hooN
Jur`at`e faisla naheeN hoti
Bas agar aur magar mei rehta hooN
Nuqta`o pesh khud hi saNwreN ge
Fikr`e zer`o zabar mei rehta hooN
Rok le ab bhi mujhko girne se
MaiN teri chashm`e tar mei rehta hooN
Maang ker ek dua`e neem shabbi
justju`e asar mei rehta hooN
Door ufaq paar dhoNdta kyooN hay
Teri hadd`e nazar mei rehta hooN
Aate jaate kabhi parao kar
MaiN teri rahguzar mei rehta hooN
Jeene marne ke bain hay jo ussi
Lamha`e mukhtasar mei rehta hooN
Ye to a`ejaaz`e khudkashi hay ke ab
Aalam`e bala tar mei rehta hooN
Kho ke shaheen taqat`e parwaz
Khahesh`e baal o par mei rehta hooN....
MaiN kahaN apne ghar mei rehta hooN
Meri takmeel hi naheeN karta
jiske dast`e hunar mei rehta hooN
Jur`at`e faisla naheeN hoti
Bas agar aur magar mei rehta hooN
Nuqta`o pesh khud hi saNwreN ge
Fikr`e zer`o zabar mei rehta hooN
Rok le ab bhi mujhko girne se
MaiN teri chashm`e tar mei rehta hooN
Maang ker ek dua`e neem shabbi
justju`e asar mei rehta hooN
Door ufaq paar dhoNdta kyooN hay
Teri hadd`e nazar mei rehta hooN
Aate jaate kabhi parao kar
MaiN teri rahguzar mei rehta hooN
Jeene marne ke bain hay jo ussi
Lamha`e mukhtasar mei rehta hooN
Ye to a`ejaaz`e khudkashi hay ke ab
Aalam`e bala tar mei rehta hooN
Kho ke shaheen taqat`e parwaz
Khahesh`e baal o par mei rehta hooN....
Comments