Skip to main content

Gulashan ki faqat phulon se nahi kanton se bhi zeenat hoti hai

Gulashan ki faqat phulon se nahi kanton se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya may Gam ki bhi zarurat hoti hai

Ai waiz e nadan karata hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai

Wo purasish e Gam ko aye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun
Kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai

Karana hi parega zabt e alam pine hi parenge yah ansu
fariyad o fugan se ai nadan tauhin e mohabbat hoti hai

Jo ake ruke daman pe `saba` wo ashq nahi hain pani hai
jo ansu na chalake ankhon se us ashq ki qimat hoti hai

Comments

☂ƧΔGI♛ said…
Dude can you translate this to english as I'm very poor in undertanding Ghazals...
That is one of the most beautiful things I have ever read... Why don't you update the blog, anymore? Please do so :)
dgdgerhrthy said…
A love song is a song about romantic love, falling in love, heartbreak after a breakup, and the feelings that these experiences bring. A comprehensive list of even the best known performers and composers of love songs would be a large order. For watch latest Romantic songs view this video https://www.youtube.com/watch?v=4KbU9BVcq54

Popular posts from this blog

Har pal zindagi say...

Har pal zindagi say ulajta raha Chot khata or phir sanbhalta raha Hansi apnay laboon par sajaye huway Zindagi ke har ghum say mukarta raha Aik tera he ghum bhari sabit howa g Yeh soch ke mera wajood bikharta raha Taroon ki chamak bhi kam hoti gai Chand magar tanha shab bhar rota raha mujay bhi tanha rahnay ki adat kya huwi Mera har dost mujh say bicharta raha Koi mere dard ka andaza bhi na karsakay Bas yeh soch ke mein baar baar sanwarta raha ....

Tu kisi aur ki jagir hai ai jan e Gazal ...

Tu kisi aur ki jagir hai ai jan e Gazal Log tufan utha denge mere sath na chal Pahle haq tha teri chahat ke chaman par mera Pahle haq tha teri Khushboo e badan par mera Ab mera pyar tere pyar ka haqdar nahi Main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi Ab kisi aur ke shanon pe hai tera anchal Main tere pyar se ghar apna basaoon kaise Main teri mang sitaron se sajaoon kaise Meri qismat mai nahi pyar ki Khushboo shayad Mere hathon ki lakiron mai nahi tu shayad Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal Mujh se kahti hain ye Khamosh nigahain teri Meri paravaz se unchi hain panahain teri Aur Gairat e ehsas pe sharminda hoon Ab kisi aur ki bahon mai hain bahain teri ....