Skip to main content

Hui hai shaam to aankhon men bas giyaa phir tu

Hui hai shaam to aaNkhon men bas giyaa phir tu
KahaaN giyaa hai mere shahar ke musaafir tu


Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu

Meri misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa huN
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tu

Main jaanataa huN ke duniyaa tujhe badal degi
Main maanataa huN ke aisaa nahin bazaahir tu

Hansi Khushi se bichhaD jaa agir bichhaDanaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tu

`Faraz` tu ne use mushkilon men Daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu

Comments

Popular posts from this blog

Gulashan ki faqat phulon se nahi kanton se bhi zeenat hoti hai

Gulashan ki faqat phulon se nahi kanton se bhi zeenat hoti hai jeene ke liye is duniya may Gam ki bhi zarurat hoti hai Ai waiz e nadan karata hai tu ek qayamat ka charcha yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai Wo purasish e Gam ko aye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun Kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai Karana hi parega zabt e alam pine hi parenge yah ansu fariyad o fugan se ai nadan tauhin e mohabbat hoti hai Jo ake ruke daman pe `saba` wo ashq nahi hain pani hai jo ansu na chalake ankhon se us ashq ki qimat hoti hai

Har pal zindagi say...

Har pal zindagi say ulajta raha Chot khata or phir sanbhalta raha Hansi apnay laboon par sajaye huway Zindagi ke har ghum say mukarta raha Aik tera he ghum bhari sabit howa g Yeh soch ke mera wajood bikharta raha Taroon ki chamak bhi kam hoti gai Chand magar tanha shab bhar rota raha mujay bhi tanha rahnay ki adat kya huwi Mera har dost mujh say bicharta raha Koi mere dard ka andaza bhi na karsakay Bas yeh soch ke mein baar baar sanwarta raha ....

Tu kisi aur ki jagir hai ai jan e Gazal ...

Tu kisi aur ki jagir hai ai jan e Gazal Log tufan utha denge mere sath na chal Pahle haq tha teri chahat ke chaman par mera Pahle haq tha teri Khushboo e badan par mera Ab mera pyar tere pyar ka haqdar nahi Main tere gesu o rukhsar ka haqdar nahi Ab kisi aur ke shanon pe hai tera anchal Main tere pyar se ghar apna basaoon kaise Main teri mang sitaron se sajaoon kaise Meri qismat mai nahi pyar ki Khushboo shayad Mere hathon ki lakiron mai nahi tu shayad Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal Mujh se kahti hain ye Khamosh nigahain teri Meri paravaz se unchi hain panahain teri Aur Gairat e ehsas pe sharminda hoon Ab kisi aur ki bahon mai hain bahain teri ....