Tere jalawe ab mujhe har su nazar ane lage
kash ye bhi ho ke mujh may tu nazar ane lage
Ibtada ye thi ke dekhi thi Khushi ki ek jhalak
intaha ye hai ke Gam har su nazar ane lage
Beqarari barhate barhate dil ki fitarat ban gai
shayad ab taskin ka pahalu nazar ane lage
Khatm karade ae `Saba` ab sham e Gam ki dastan
dekh un ankhon may bhi ansu nazar ane lage ....

Comments