Zakhm-e-tanhaa_ii mein khushbu-e-hinaa kis ki thi
Saayaa diiwaar pe meraa thaa sadaa kis ki thi
Uskii raftaar se lipti rahein meri aankhein
Us ne murr kar bhi na dekhaa ki wafaa kis ki thi
Waqt kii tarah dabe paaoon ye kaun aayaa hai
Mein andheraa jise samajha wo qaba kis kii thi
Aansuoon se hii sahii bhar gayaa daaman meraa
Haath to main ne uthaaye the duaa kis kii thi
Merii aahon kii zabaan koii samajhataa kaise
Zindagii itanii dukhii mere siwaa kis kii thi
Aaag se dostii us kii thii jalaa ghar mera
Dii gai kis ko sazaa aur Khataa kis kii thi
Mein ne biinaaiyaan bo kar bhii andherey kaatey
Kis ke bas mein thii zamien abr-o-hawa kis kii thi
Chour dii kis liye tuu ne "Muzaffar" duniyaa
Justujoo sii tujhe har waqt bataa kis kii thi

Comments